aisa mumkin hi nahin dard mein har fard na ho
aisā mumkin hī nahīñ dard meñ har fard na ho
koī chehra to dikhā ḳhauf se jo zard na ho
terā shaffāf badan ḳhaak nahīñ patthar hai
kaise mumkin hai badan ḳhaak kā ho gard na ho
aisā ehsās hai jiine meñ na mar jaane meñ
dil meñ ThanDak bhī rahe aur badan sard na ho
koī ta.avīz batā jis ke asar se murshid
zaḳhm par zaḳhm to aa jaa.e magar dard na ho
dekhtā huuñ to jigar phaTne ko aa jaatā hai
mere maulā koī ma.azūr javāñ-mard na ho
aisa mumkin hi nahin dard mein har fard na ho
koi chehra to dikha KHauf se jo zard na ho
tera shaffaf badan KHak nahin patthar hai
kaise mumkin hai badan KHak ka ho gard na ho
aisa ehsas hai jine mein na mar jaane mein
dil mein ThanDak bhi rahe aur badan sard na ho
koi tawiz bata jis ke asar se murshid
zaKHm par zaKHm to aa jae magar dard na ho
dekhta hun to jigar phaTne ko aa jata hai
mere maula koi mazur jawan-mard na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.