aisa nahin duaon mein manga nahin tujhe
aisa nahin duaon mein manga nahin tujhe
Mashkoor Mamnoon Qannauji
MORE BYMashkoor Mamnoon Qannauji
aisā nahīñ duāoñ meñ māñgā nahīñ tujhe
qismat meñ hī nahīñ thā jo paayā nahīñ tujhe
dil to aqīdatoñ kī hadoñ se guzar gayā
vo to ḳhudā kā ḳhauf thā puujā nahīñ tujhe
sab muntazir the merī nigāheñ kidhar uTheñ
maiñ ne bhī ehtiyāt meñ dekhā nahīñ tujhe
shāyad palaT ke dekh le tū hī merī taraf
maiñ ne isī umiid pe rokā nahīñ tujhe
tere ḳhayāl saath the mere qadam qadam
maiñ to kisī qadam pe bhī bhūlā nahīñ tujhe
andesha-e-judā.ī ke Dar meñ jiyā huuñ maiñ
ye mat samajh ke TuuT ke chāhā nahīñ tujhe
vo pal harām ho gayā 'mashkūr' ke liye
jis pal tasavvurāt meñ paayā nahīñ tujhe
aisa nahin duaon mein manga nahin tujhe
qismat mein hi nahin tha jo paya nahin tujhe
dil to aqidaton ki hadon se guzar gaya
wo to KHuda ka KHauf tha puja nahin tujhe
sab muntazir the meri nigahen kidhar uThen
main ne bhi ehtiyat mein dekha nahin tujhe
shayad palaT ke dekh le tu hi meri taraf
main ne isi umid pe roka nahin tujhe
tere KHayal sath the mere qadam qadam
main to kisi qadam pe bhi bhula nahin tujhe
andesha-e-judai ke Dar mein jiya hun main
ye mat samajh ke TuT ke chaha nahin tujhe
wo pal haram ho gaya 'mashkur' ke liye
jis pal tasawwuraat mein paya nahin tujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.