aisa nahin ke wasl ka lamha na aaega
aisā nahīñ ke vasl kā lamha na aa.egā
lekin is intizār ke jaisā na aa.egā
ye lab hī kyā ye āñkheñ bhī ab pūchhne lagīñ
is rāste meñ kyā koī dariyā na aa.egā
baiThe raho udaas yuuñ zulfoñ ko khol kar
is rut meñ to havāoñ kā jhoñkā na aa.egā
pahle se ham batā deñ ki aa.egā saarā jism
dil tum pe aa.egā to akelā na aa.egā
aa.e nahīñ ki karne lage lauTne kī baat
tum hī batāo aise meñ ġhussa na aa.egā
bastī ke saare bachchoñ ko kaise batā.ūñ maiñ
ab vo khilaune bechne vaalā na aa.egā
so jaao ai darḳhto ki Dhalne lagī hai raat
chhoḌo umiid ab vo parinda na aa.egā
aisa nahin ke wasl ka lamha na aaega
lekin is intizar ke jaisa na aaega
ye lab hi kya ye aankhen bhi ab puchhne lagin
is raste mein kya koi dariya na aaega
baiThe raho udas yun zulfon ko khol kar
is rut mein to hawaon ka jhonka na aaega
pahle se hum bata den ki aaega sara jism
dil tum pe aaega to akela na aaega
aae nahin ki karne lage lauTne ki baat
tum hi batao aise mein ghussa na aaega
basti ke sare bachchon ko kaise bataun main
ab wo khilaune bechne wala na aaega
so jao ai darKHto ki Dhalne lagi hai raat
chhoDo umid ab wo parinda na aaega
- Book : Aavaazon Ka Raushandaan (Pg. 20)
- Author : Kuldeep Kumar
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.