aisa nahin ki aap ka charcha nahin hua
aisā nahīñ ki aap kā charchā nahīñ huā
jaisā thā hukm aap kā vaisā nahīñ huā
itnā bachā thā sirf ki paspā nahīñ huā
kahne ko tere 'ishq meñ kyā kyā nahīñ huā
lā'nat ho is jahez pe kal is ke vāste
beTī thī ik ġharīb kī rishta nahīñ huā
le kar ḳhudā kā naam kiyā hai jo koī kaam
be-shak kabhī bhī koī ḳhasāra nahīñ huā
munsif ye terā faisla manzūr hai magar
zālim ke haq meñ ho gayā achchhā nahīñ huā
tārīḳh paḌh ke dekh lo tum mere shahr kī
dange nahīñ hue kabhī balva nahīñ huā
us ne bitā.ī saath meñ haiñ chhuTTiyāñ abhī
do-chār din hī biite haiñ hafta nahīñ huā
'tāriq' har ek moḌ pe parkhā hai aap ne
apnā hī 'ain vaqt par apnā nahīñ huā
aisa nahin ki aap ka charcha nahin hua
jaisa tha hukm aap ka waisa nahin hua
itna bacha tha sirf ki paspa nahin hua
kahne ko tere 'ishq mein kya kya nahin hua
la'nat ho is jahez pe kal is ke waste
beTi thi ek gharib ki rishta nahin hua
le kar KHuda ka nam kiya hai jo koi kaam
be-shak kabhi bhi koi KHasara nahin hua
munsif ye tera faisla manzur hai magar
zalim ke haq mein ho gaya achchha nahin hua
tariKH paDh ke dekh lo tum mere shahr ki
dange nahin hue kabhi balwa nahin hua
us ne bitai sath mein hain chhuTTiyan abhi
do-chaar din hi bite hain hafta nahin hua
'tariq' har ek moD pe parkha hai aap ne
apna hi 'ain waqt par apna nahin hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.