aisa nahin ki aap se rishta nahin raha
aisā nahīñ ki aap se rishta nahīñ rahā
haañ pahle jitnā pyaar thā utnā nahīñ rahā
itne fareb khaa.e haiñ ham ne ki ab hameñ
duniyā to duur ḳhud pe bharosa nahīñ rahā
ham ko bhī un kī koī zarūrat nahīñ rahī
un ko bhī intizār hamārā nahīñ rahā
gulshan kī shaan thā jo shajar us kī shāḳh par
phal kī to baat chhoḌiye pattā nahīñ rahā
tabdīl ho chukā hai mirā gaañv shahr meñ
ab ḳhair-ḳhvāh koī kisī kā nahīñ rahā
tum mil ga.e to mil ga.ī duniyā hameñ 'ratan'
ab dekhne ko koī bhī sapnā nahīñ rahā
aisa nahin ki aap se rishta nahin raha
han pahle jitna pyar tha utna nahin raha
itne fareb khae hain hum ne ki ab hamein
duniya to dur KHud pe bharosa nahin raha
hum ko bhi un ki koi zarurat nahin rahi
un ko bhi intizar hamara nahin raha
gulshan ki shan tha jo shajar us ki shaKH par
phal ki to baat chhoDiye patta nahin raha
tabdil ho chuka hai mera ganw shahr mein
ab KHair-KHwah koi kisi ka nahin raha
tum mil gae to mil gai duniya hamein 'ratan'
ab dekhne ko koi bhi sapna nahin raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.