aisa nahin ki ek mera ghar udas hai
aisa nahin ki ek mera ghar udas hai
Chandra Parkash Jauhar Bijnauri
MORE BYChandra Parkash Jauhar Bijnauri
aisā nahīñ ki ek mirā ghar udaas hai
tere baġhair jo bhī hai manzar udaas hai
koī asar dikhā na sakā fan kā mo.ajiza
apne butoñ ko dekh ke aazar udaas hai
pahlū-e-sang meñ bhī hai ik dard-mand dil
vahshī ke sar ko phoḌ ke patthar udaas hai
jis ne kiyā thā qatl kisī be-gunāh kā
apne kiye pe ab vahī ḳhanjar udaas hai
ḳhāmosh sat.h-e-āb hai maġhmūm hai fazā
kashtī ko ġharq kar ke samundar udaas hai
jis dil ke aa.ine meñ nahīñ aks-e-rū-e-dost
us dil ke aa.ine kā muqaddar udaas hai
saaqī kī be-niyāzī-e-paiham ko dekh kar
'jauhar' hayāt-e-ishq kā sāġhar udaas hai
aisa nahin ki ek mera ghar udas hai
tere baghair jo bhi hai manzar udas hai
koi asar dikha na saka fan ka moajiza
apne buton ko dekh ke aazar udas hai
pahlu-e-sang mein bhi hai ek dard-mand dil
wahshi ke sar ko phoD ke patthar udas hai
jis ne kiya tha qatl kisi be-gunah ka
apne kiye pe ab wahi KHanjar udas hai
KHamosh sath-e-ab hai maghmum hai faza
kashti ko gharq kar ke samundar udas hai
jis dil ke aaine mein nahin aks-e-ru-e-dost
us dil ke aaine ka muqaddar udas hai
saqi ki be-niyazi-e-paiham ko dekh kar
'jauhar' hayat-e-ishq ka saghar udas hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.