aisa nahin ki hum ko bulaya nahin gaya
aisā nahīñ ki ham ko bulāyā nahīñ gayā
lekin bulā ke paas biThāyā nahīñ gayā
us ne bhī merā haal kabhī pūchhā hī nahīñ
ham se bhī apnā dard jatāyā nahīñ gayā
ḳhuddāriyāñ bharī haiñ hamāre mizāj meñ
ḳhud ko girā ke aage baḌhāyā nahīñ gayā
ham ne to roz roz vafā ḳhuub kī magar
un se kabhī-kabhār nibhāyā nahīñ gayā
kitne hī marhaloñ se guzartā rahā huuñ maiñ
pahle-pahal kā pyaar bhulāyā nahīñ gayā
dil toḌne meñ un ke muqābil nahīñ koī
ham se kisī kā dil bhī dukhāyā nahīñ gayā
aisa nahin ki hum ko bulaya nahin gaya
lekin bula ke pas biThaya nahin gaya
us ne bhi mera haal kabhi puchha hi nahin
hum se bhi apna dard jataya nahin gaya
KHuddariyan bhari hain hamare mizaj mein
KHud ko gira ke aage baDhaya nahin gaya
hum ne to roz roz wafa KHub ki magar
un se kabhi-kabhaar nibhaya nahin gaya
kitne hi marhalon se guzarta raha hun main
pahle-pahal ka pyar bhulaya nahin gaya
dil toDne mein un ke muqabil nahin koi
hum se kisi ka dil bhi dukhaya nahin gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.