aisa nahin ki munh mein hamare zaban nahin
aisā nahīñ ki muñh meñ hamāre zabāñ nahīñ
haiñ kam-suḳhan zarūr pa aajiz bayāñ nahīñ
har-chand jānte haiñ use ham qarīb se
par kyā kareñ ki pā-e-suḳhan darmiyāñ nahīñ
achchhā to ek pal ke liye hī uThā ke dekh
ai āsmāñ jo bār-e-amānat-garāñ nahīñ
ḳhud ham meñ tāb-e-dīd nahīñ hai ye aur baat
rahtā hai vo nigāh ke aage kahāñ nahīñ
'farruḳh' kahīñ na sun ke kare vo bhī an-sunī
kahte haiñ us se is liye dard-e-nihāñ nahīñ
aisa nahin ki munh mein hamare zaban nahin
hain kam-suKHan zarur pa aajiz bayan nahin
har-chand jaante hain use hum qarib se
par kya karen ki pa-e-suKHan darmiyan nahin
achchha to ek pal ke liye hi uTha ke dekh
ai aasman jo bar-e-amanat-garan nahin
KHud hum mein tab-e-did nahin hai ye aur baat
rahta hai wo nigah ke aage kahan nahin
'farruKH' kahin na sun ke kare wo bhi an-suni
kahte hain us se is liye dard-e-nihan nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.