Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aisa nahin ki usne banaya nahin mujhe

Shaheen Abbas

aisa nahin ki usne banaya nahin mujhe

Shaheen Abbas

MORE BYShaheen Abbas

    aisā nahīñ ki us ne banāyā nahīñ mujhe

    jo zaḳhm us ko aayā hai aayā nahīñ mujhe

    dīvār ko girā ke uThāyā bhī maiñ ne thā

    dīvār ne girā ke uThāyā nahīñ mujhe

    maiñ ḳhud bhī aa rahā thā jagah DhūñDte hue

    yaañ tak ye inhidām laayā nahīñ mujhe

    merā ye kaam aur kasī ke supurd hai

    ḳhud ḳhvāb dekhnā abhī aayā nahīñ mujhe

    kal niiñd meñ charāġh ko nārāz kar diyā

    sūraj ne aaj sub.h jagāyā nahīñ mujhe

    zanjīr lāzmī hai ki zanjīr ke baġhair

    chalnā zamīn par abhī aayā nahīñ mujhe

    aisa nahin ki us ne banaya nahin mujhe

    jo zaKHm us ko aaya hai aaya nahin mujhe

    diwar ko gira ke uThaya bhi main ne tha

    diwar ne gira ke uThaya nahin mujhe

    main KHud bhi aa raha tha jagah DhunDte hue

    yan tak ye inhidam hi laya nahin mujhe

    mera ye kaam aur kasi ke supurd hai

    KHud KHwab dekhna abhi aaya nahin mujhe

    kal nind mein charagh ko naraaz kar diya

    suraj ne aaj subh jagaya nahin mujhe

    zanjir lazmi hai ki zanjir ke baghair

    chalna zamin par abhi aaya nahin mujhe

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now