aisa nahin kisi se mohabbat nahin hamein
aisā nahīñ kisī se mohabbat nahīñ hameñ
par kyā kareñ ki shauq-e-vazāhat nahīñ hameñ
is tarah kho ga.e haiñ ġham-e-zindagī meñ ham
phūloñ ko dekhne kī bhī fursat nahīñ hameñ
kitne makān ham ne to ta.amīr kar liye
aur un ko ghar banāne kī chāhat nahīñ hameñ
yuuñ band ho ga.e haiñ darīche bhī soch ke
ab to kisī se koī shikāyat nahīñ hameñ
mahsūs jo kareñ vahī kahte haiñ barmalā
kuchh dil meñ baat rakhne kī aadat nahīñ hameñ
terā ḳhayāl dil meñ samāyā hai is tarah
kuchh aur sochne kī zarūrat nahīñ hameñ
ġham aur ḳhushī to 'nāz' muqaddar kā khel hai
shikva kisī se karne kī aadat nahīñ hameñ
aisa nahin kisi se mohabbat nahin hamein
par kya karen ki shauq-e-wazahat nahin hamein
is tarah kho gae hain gham-e-zindagi mein hum
phulon ko dekhne ki bhi fursat nahin hamein
kitne makan hum ne to tamir kar liye
aur un ko ghar banane ki chahat nahin hamein
yun band ho gae hain dariche bhi soch ke
ab to kisi se koi shikayat nahin hamein
mahsus jo karen wahi kahte hain barmala
kuchh dil mein baat rakhne ki aadat nahin hamein
tera KHayal dil mein samaya hai is tarah
kuchh aur sochne ki zarurat nahin hamein
gham aur KHushi to 'naz' muqaddar ka khel hai
shikwa kisi se karne ki aadat nahin hamein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.