aisa nahin tha asl mein jaisa bana liya
aisā nahīñ thā asl meñ jaisā banā liyā
dil ne kisī kī yaad kā chehra banā liyā
pahlī nashist ābla-pāoñ meñ merī hai
majnūñ ko maiñ ne dasht meñ chelā banā liyā
khīñchī hai apne ḳhuun se naqshe pe ik lakīr
jangal meñ apnī marzī kā rasta banā liyā
mere liye to in meñ koī farq hai nahīñ
jab chāhā apnī beTī ko beTā banā liyā
mahrūm yuuñ huī huuñ maiñ us dar ke sāmne
makḌī ne mere hoñToñ pe jaalā banā liyā
un meñ kashish ajiib thī dariyā-dilī ke saath
logoñ ne dasht-zādoñ ko aaqā banā liyā
chamkā thā ek jugnū mire dil ke ās-pās
ab jis ko sab ne aañkh kā taara banā liyā
ghar meñ jagah hai us kī na hai ghaaT meñ jagah
qismat ko ham ne dhobī kā kuttā banā liyā
ham ne vahāñ faroḳht kī thī vahshateñ 'sabā'
duniyā ne jis dukān meñ khātā banā liyā
aisa nahin tha asl mein jaisa bana liya
dil ne kisi ki yaad ka chehra bana liya
pahli nashist aabla-paon mein meri hai
majnun ko main ne dasht mein chela bana liya
khinchi hai apne KHun se naqshe pe ek lakir
jangal mein apni marzi ka rasta bana liya
mere liye to in mein koi farq hai nahin
jab chaha apni beTi ko beTa bana liya
mahrum yun hui hun main us dar ke samne
makDi ne mere honTon pe jala bana liya
un mein kashish ajib thi dariya-dili ke sath
logon ne dasht-zadon ko aaqa bana liya
chamka tha ek jugnu mere dil ke aas-pas
ab jis ko sab ne aankh ka tara bana liya
ghar mein jagah hai us ki na hai ghaT mein jagah
qismat ko hum ne dhobi ka kutta bana liya
hum ne wahan faroKHt ki thi wahshaten 'saba'
duniya ne jis dukan mein khata bana liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.