aisa to nahin hai ki mohabbat nahin karta
aisā to nahīñ hai ki mohabbat nahīñ kartā
jo shaḳhs bayāñ karne kī himmat nahīñ kartā
office bhī chale jaate haiñ ye TuuTe hue log
dil TūTne par ab koī vahshat nahīñ kartā
vo shaḳhs hai insān kī sūrat meñ farishta
jo shaḳhs kisī se bhī shikāyat nahīñ kartā
jab bhī use dekhūñ to 'aqīdat se jhuke sar
jhūTe haiñ jo kahte haiñ 'ibādat nahīñ kartā
vo haal huā 'ishq meñ jaise ki koī bhī
jangal meñ daraḳhtoñ kī hifāzat nahīñ kartā
aisa to nahin hai ki mohabbat nahin karta
jo shaKHs bayan karne ki himmat nahin karta
office bhi chale jate hain ye TuTe hue log
dil TuTne par ab koi wahshat nahin karta
wo shaKHs hai insan ki surat mein farishta
jo shaKHs kisi se bhi shikayat nahin karta
jab bhi use dekhun to 'aqidat se jhuke sar
jhuTe hain jo kahte hain 'ibaadat nahin karta
wo haal hua 'ishq mein jaise ki koi bhi
jangal mein daraKHton ki hifazat nahin karta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.