Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aisa war paDa sar ka

Baqi Siddiqui

aisa war paDa sar ka

Baqi Siddiqui

MORE BYBaqi Siddiqui

    aisā vaar paḌā sar

    bhuul ga.e rasta ghar

    ziist chalī hai kis jānib

    le kaasa kaasa mar

    kyā kyā rañg badaltā hai

    vahshī apne andar

    dil se nikal kar dekho to

    kyā aalam hai bāhar

    sar par Daalī sarsoñ

    paañv meñ kāñTā kīkar

    kaun sadaf baat kare

    naam baḌā hai gauhar

    din hai siine ghaav

    raat hai kāñTā bistar

    ab to vo saktā hai

    jis dil ho patthar

    chhoḌo sher uTho 'bāqī'

    vaqt huā hai daftar

    aisa war paDa sar ka

    bhul gae rasta ghar ka

    zist chali hai kis jaanib

    le kasa kasa mar ka

    kya kya rang badalta hai

    wahshi apne andar ka

    dil se nikal kar dekho to

    kya aalam hai bahar ka

    sar par Dali sarson ki

    panw mein kanTa kikar ka

    kaun sadaf ki baat kare

    nam baDa hai gauhar ka

    din hai sine ka ghaw

    raat hai kanTa bistar ka

    ab to wo ji sakta hai

    jis ka dil ho patthar ka

    chhoDo sher uTho 'baqi'

    waqt hua hai daftar ka

    Source :
    • Book : Bar-e-Safar (Pg. 42)
    • Author : Baqi Siddiqui
    • Publication : Maktaba Urdu Daijest, Lahore (1969)
    • Edition : 1969
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now