aise aalam mein bhala kis ka pakaDta daman
aise aalam mein bhala kis ka pakaDta daman
Maqbool Ahmad Maqbool
MORE BYMaqbool Ahmad Maqbool
aise aalam meñ bhalā kis kā pakaḌtā dāman
the sabhī log jahāñ ḳhasta darīda-dāman
aaj ālūda nazar aatā hai dāman us kā
jis kā mash.hūr-e-zamāna rahā ujlā dāman
itnī fursat hai kise kaun bhalā dekhegā
ashk-e-ḳhūnīn se labrez kisī kā dāman
hai bajā aap kī añgusht-numā.ī lekin
kabhī dekheñ to sahī aap bhī apnā dāman
gul-e-ummīd se phir aaj vo ḳhushbū phūTī
jis se 'maqbūl' mirī ziist kā mahkā dāman
aise aalam mein bhala kis ka pakaDta daman
the sabhi log jahan KHasta darida-daman
aaj aaluda nazar aata hai daman us ka
jis ka mashhur-e-zamana raha ujla daman
itni fursat hai kise kaun bhala dekhega
ashk-e-KHunin se labrez kisi ka daman
hai baja aap ki angusht-numai lekin
kabhi dekhen to sahi aap bhi apna daman
gul-e-ummid se phir aaj wo KHushbu phuTi
jis se 'maqbul' meri zist ka mahka daman
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.