aise bhi kahan milenge dil-ju
aise bhī kahāñ mileñge dil-jū
e.ajāz ba-rang-e-chashm-e-āhū
ik baar ham is tarah se ro.e
un ke bhī nikal paḌe the aañsū
phirtā huuñ maiñ dar-ba-dar jahāñ meñ
kis kī hai talāsh aaj har-sū
apnī sī jahāñ meñ kar guzariye
shal hote raheñge dast-o-bāzū
dīvāna banā rahe haiñ ham ko
duniyā ye tire darāz gesū
īmān hai jin kā rang-o-bū par
Thahre haiñ vahī to aaj bad-ḳhū
TuuTā hai tilism-e-pāk-bāzī
āñkhoñ meñ vo bhar ke aa.e jaadū
badlā nahīñ rang gulsitāñ kā
phūloñ meñ kahāñ se aa.e ḳhushbū
'anjum' ye maraz na jā.egā ab
ab is kī koī davā na daarū
aise bhi kahan milenge dil-ju
eajaz ba-rang-e-chashm-e-ahu
ek bar hum is tarah se roe
un ke bhi nikal paDe the aansu
phirta hun main dar-ba-dar jahan mein
kis ki hai talash aaj har-su
apni si jahan mein kar guzariye
shal hote rahenge dast-o-bazu
diwana bana rahe hain hum ko
duniya ye tere daraaz gesu
iman hai jin ka rang-o-bu par
Thahre hain wahi to aaj bad-KHu
TuTa hai tilism-e-pak-bazi
aankhon mein wo bhar ke aae jadu
badla nahin rang gulsitan ka
phulon mein kahan se aae KHushbu
'anjum' ye maraz na jaega ab
ab is ki koi dawa na daru
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.