aise bhi KHafa kya ki sitam hi na jafa hi
aise bhī ḳhafā kyā ki sitam hī na jafā hī
ye tark-e-ta'alluq hai ki begāna-nigāhī
vo jin ko mire dard ke darmāñ kī nahīñ fikr
kyoñ shaaq guzartī hai unheñ merī tabāhī
maiñ haath uThā.e hue kyā maañg rahā huuñ
dil meñ koī hasrat hī na hoñToñ pe du'ā hī
ab apnī vafā kā bhī yaqīñ mujh ko nahīñ hai
ye kaun sī manzil hai mohabbat kī ilāhī
ai rah-rav-e-ḳhush-fahm bahar-gām ye sajde
kyā terā muqaddar haiñ ye naqsh-e-kaf-e-pā hī
ham karte rahe jitnī ujāloñ kī du'ā.eñ
baḌhtī hī ga.ī aur muqaddar kī siyāhī
jis raah pe huuñ garm-e-safar aaj maiñ 'afzal'
us raah se guzregā koī ābla-pā hī
aise bhi KHafa kya ki sitam hi na jafa hi
ye tark-e-ta'alluq hai ki begana-nigahi
wo jin ko mere dard ke darman ki nahin fikr
kyon shaq guzarti hai unhen meri tabahi
main hath uThae hue kya mang raha hun
dil mein koi hasrat hi na honTon pe du'a hi
ab apni wafa ka bhi yaqin mujh ko nahin hai
ye kaun si manzil hai mohabbat ki ilahi
ai rah-raw-e-KHush-fahm bahar-gam ye sajde
kya tera muqaddar hain ye naqsh-e-kaf-e-pa hi
hum karte rahe jitni ujalon ki du'aen
baDhti hi gai aur muqaddar ki siyahi
jis rah pe hun garm-e-safar aaj main 'afzal'
us rah se guzrega koi aabla-pa hi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.