aise bhi kuchh log hain jo din bhar ki kamai kho dete hain
aise bhi kuchh log hain jo din bhar ki kamai kho dete hain
Meer Yaseen Ali khan
MORE BYMeer Yaseen Ali khan
aise bhī kuchh log haiñ jo din bhar kī kamā.ī kho dete haiñ
phir jhaT paT karte tāroñ kī chhāñv meñ baiThe ro dete haiñ
raushan raushan harfoñ meñ ham din bhar jo kuchh likh paate haiñ
zulmat ke kaale paanī se raat ko vo bhī dho dete haiñ
ab tū hī hamāre chāra-gar kar un kā mudāvā duniyā meñ
jo din bhar to phuul chuneñ aur raat ko kāñTe bo dete haiñ
aise bhi kuchh log hain jo din bhar ki kamai kho dete hain
phir jhaT paT karte taron ki chhanw mein baiThe ro dete hain
raushan raushan harfon mein hum din bhar jo kuchh likh pate hain
zulmat ke kale pani se raat ko wo bhi dho dete hain
ab tu hi hamare chaara-gar kar un ka mudawa duniya mein
jo din bhar to phul chunen aur raat ko kanTe bo dete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.