aise haal mein ab tum mere KHayal mein aate ho kaise
aise haal meñ ab tum mere ḳhayāl meñ aate ho kaise
ukhḌe ukhḌe se shab ko thake haal meñ aate ho kaise
aate ho tum ādhe-adhūre kaise mirī jānib bolo
puure ke puure jān-e-tamannā visāl meñ aate ho kaise
milte nahīñ haiñ javāb mujhe ai dost na jaane kyoñ tum se
aur phir maiñ ye sochtī huuñ ki savāl meñ aate ho kaise
mujh ko pasand aayā hai ik andāz tumhārā ye bhī sanam
āñkhoñ se tum hijr kī shab rūmāl meñ aate ho kaise
ai bichhḌe hue sāthī mere ai guzre hue pal batlāo
tum hī to merā maazī ho tum haal meñ aate ho kaise
aise haal mein ab tum mere KHayal mein aate ho kaise
ukhDe ukhDe se shab ko thake haal mein aate ho kaise
aate ho tum aadhe-adhure kaise meri jaanib bolo
pure ke pure jaan-e-tamanna visal mein aate ho kaise
milte nahin hain jawab mujhe ai dost na jaane kyon tum se
aur phir main ye sochti hun ki sawal mein aate ho kaise
mujh ko pasand aaya hai ek andaz tumhaara ye bhi sanam
aankhon se tum hijr ki shab rumal mein aate ho kaise
ai bichhDe hue sathi mere ai guzre hue pal batlao
tum hi to mera mazi ho tum haal mein aate ho kaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.