aise hota hai guman aankhon se
aise hotā hai gumāñ āñkhoñ se
jaise uThtā ho dhuāñ āñkhoñ se
koī jamshed kā sāġhar to nahīñ
dekh luuñ saarā jahāñ āñkhoñ se
ab kahāñ tāb-e-nazar hai dekhūñ
koī maqtal kā samāñ āñkhoñ se
qissa-e-dard sunāte kyoñ ho
saaf hotā hai bayāñ āñkhoñ se
ye to ehsān-e-ḳhudāvandī hai
dekh saktā huuñ jahāñ āñkhoñ se
aise hota hai guman aankhon se
jaise uThta ho dhuan aankhon se
koi jamshed ka saghar to nahin
dekh lun sara jahan aankhon se
ab kahan tab-e-nazar hai dekhun
koi maqtal ka saman aankhon se
qissa-e-dard sunate kyon ho
saf hota hai bayan aankhon se
ye to ehsan-e-KHudawandi hai
dekh sakta hun jahan aankhon se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.