aise ji kar bhi kya kare koi
aise jī kar bhī kyā kare koī
maut de de ḳhudā kare koī
kaun jaane mujhe huā kyā hai
kis maraz kī davā kare koī
mujhe taufīq-e-ġham nahīñ na sahī
ġham ko be-intihā kare koī
aaj aalam ajiib hai dil kā
mere haq meñ duā kare koī
ham vafāoñ se baaz aa jaa.eñ
ham pe itnī jafā kare koī
ab to har dam ye chāhtā huuñ maiñ
zikr un kā kiyā kare koī
shaam ko roz sub.h kartā huuñ
aur kyā ai 'razā' kare koī
aise ji kar bhi kya kare koi
maut de de KHuda kare koi
kaun jaane mujhe hua kya hai
kis maraz ki dawa kare koi
mujhe taufiq-e-gham nahin na sahi
gham ko be-intiha kare koi
aaj aalam ajib hai dil ka
mere haq mein dua kare koi
hum wafaon se baz aa jaen
hum pe itni jafa kare koi
ab to har dam ye chahta hun main
zikr un ka kiya kare koi
sham ko roz subh karta hun
aur kya ai 'raza' kare koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.