aise kai sawal hain jin ka jawab kuchh nahin
aise ka.ī savāl haiñ jin kā javāb kuchh nahīñ
harf o sadā fuzūl sab lauh o kitāb kuchh nahīñ
un se kaho ki is tarah āñkhoñ se bad-gumāñ na hoñ
kaise ajiib log haiñ kahte haiñ ḳhvāb kuchh nahīñ
baiThe-biThā.e dil yūñhī ḳhud se uchāT ho gayā
anjuman-e-havās meñ vaise ḳharāb kuchh nahīñ
farq bahut nahīñ yahāñ shaam o sahar ke darmiyāñ
pyaas agar dabī rahe aab o sarāb kuchh nahīñ
jaañ kā bas ek qarz hai vo bhī utar hī jā.egā
aur ka.ī aziiz kā ham pe hisāb kuchh nahīñ
aise kai sawal hain jin ka jawab kuchh nahin
harf o sada fuzul sab lauh o kitab kuchh nahin
un se kaho ki is tarah aankhon se bad-guman na hon
kaise ajib log hain kahte hain KHwab kuchh nahin
baiThe-biThae dil yunhi KHud se uchaT ho gaya
anjuman-e-hawas mein waise KHarab kuchh nahin
farq bahut nahin yahan sham o sahar ke darmiyan
pyas agar dabi rahe aab o sarab kuchh nahin
jaan ka bas ek qarz hai wo bhi utar hi jaega
aur kai aziz ka hum pe hisab kuchh nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.