aise KHud par yahan KHudai ki
aise ḳhud par yahāñ ḳhudā.ī kī
dil kī dekhī na hī sunā.ī kī
be-qarārī sī dil ko hone lagī
jaane kis ne kahāñ rasā.ī kī
vo hī sad-rañg hai jazīra-numā
mere ḳhvāboñ kī kyuuñ rihā.ī kī
tohmateñ dūsroñ pe dharte haiñ
baat karte haiñ pārsā.ī kī
merī āñkhoñ ke jal paḌe the diye
āñsuoñ ne yuuñ jag-hañsā.ī kī
aaj dāman meñ phuul Daale the
jaise gulshan kī phir gadā.ī kī
aise KHud par yahan KHudai ki
dil ki dekhi na hi sunai ki
be-qarari si dil ko hone lagi
jaane kis ne kahan rasai ki
wo hi sad-rang hai jazira-numa
mere KHwabon ki kyun rihai ki
tohmaten dusron pe dharte hain
baat karte hain parsai ki
meri aankhon ke jal paDe the diye
aansuon ne yun jag-hansai ki
aaj daman mein phul Dale the
jaise gulshan ki phir gadai ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.