aise khulte hain falak par ye sitare shab ke
aise khulte haiñ falak par ye sitāre shab ke
jis tarah phuul hoñ saare ye bahār-e-shab ke
terī tasvīr banā kar tirī zulfoñ ke liye
ham ne kāġhaz pe ka.ī rañg utāre shab ke
vo musavvir jo banātā hai sahar kā chehra
us se kahnā ki abhī dard ubhāre shab ke
kyā kisī shaḳhs kī hijrat meñ jalī haiñ rāteñ
kyuuñ sharāroñ se chamakte haiñ sitāre shab ke
ye tire hijr ne tohfe meñ diye haiñ ham ko
ye jo ma.asūm se rishte haiñ hamāre shab ke
ek muddat se hameñ niiñd na aa.ī 'āshū'
umr ik kaaT dī ham ne bhī sahāre shab ke
aise khulte hain falak par ye sitare shab ke
jis tarah phul hon sare ye bahaar-e-shab ke
teri taswir bana kar teri zulfon ke liye
hum ne kaghaz pe kai rang utare shab ke
wo musawwir jo banata hai sahar ka chehra
us se kahna ki abhi dard ubhaare shab ke
kya kisi shaKHs ki hijrat mein jali hain raaten
kyun shararon se chamakte hain sitare shab ke
ye tere hijr ne tohfe mein diye hain hum ko
ye jo masum se rishte hain hamare shab ke
ek muddat se hamein nind na aai 'ashu'
umr ek kaT di hum ne bhi sahaare shab ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.