aise lage hai naukri mal-e-haram ke baghair
aise lage hai naukrī māl-e-harām ke baġhair
jaise ho 'dāġh' kī ġhazal baada o jaam ke baġhair
ho na samāj biich meñ ishq ho yuuñ speed meñ
laarī chale break-bin ghoḌā lagām ke baġhair
pyaar kī saarī guftugū ab vo kare hai phone par
aur phire hai nāma-bar naam o payām ke baġhair
biivī kī ek chup se hai ghar kī fazā bujhī bujhī
jaise koī mushā.era mere kalām ke baġhair
'shāhid' hamārā sher hai oḌhe huī shaguftagī
varna hai teġh-e-be-amāñ vo bhī niyām ke baġhair
aise lage hai naukri mal-e-haram ke baghair
jaise ho 'dagh' ki ghazal baada o jam ke baghair
ho na samaj bich mein ishq ho yun speed mein
lari chale break-bin ghoDa lagam ke baghair
pyar ki sari guftugu ab wo kare hai phone par
aur phire hai nama-bar nam o payam ke baghair
biwi ki ek chup se hai ghar ki faza bujhi bujhi
jaise koi mushaera mere kalam ke baghair
'shahid' hamara sher hai oDhe hui shaguftagi
warna hai tegh-e-be-aman wo bhi niyam ke baghair
- Book : Dish antenna (Pg. 142)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.