aise lamhat bhi guzarte hain
Interesting Fact
1957
aise lamhāt bhī guzarte haiñ
jab na jiite haiñ ham na marte haiñ
ham ki shā.ir haiñ dil ko ḳhuuñ kar ke
apne gītoñ meñ rañg bharte haiñ
zindagī kī haqīqatoñ ke guhar
bahr-e-andesha se ubharte haiñ
kis qadar hoshiyār haiñ ham bhī
apnī dīvāngī se Darte haiñ
ik zarā sī ḳhushī kī chāhat meñ
ham ġhamoñ se nibāh karte haiñ
aise lamhat bhi guzarte hain
jab na jite hain hum na marte hain
hum ki shair hain dil ko KHun kar ke
apne giton mein rang bharte hain
zindagi ki haqiqaton ke guhar
bahr-e-andesha se ubharte hain
kis qadar hoshiyar hain hum bhi
apni diwangi se Darte hain
ek zara si KHushi ki chahat mein
hum ghamon se nibah karte hain
- Book : Harf-e-wafa (Pg. 111)
- Author : Parveen Fana Sayyad
- Publication : Maktaba Funoon, Lahore (1974)
- Edition : 1974
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.