aise maqam tak bhi tere na-rasa gae
aise maqām tak bhī tire nā-rasā ga.e
taare falak ke TuuT ke qadmoñ meñ aa ga.e
ummīd-e-vasl-e-yār liye kitne kam nasīb
apnī dukān tere jahāñ se baḌhā ga.e
dekhā jinhoñ ne aañkh gañvā kar safar kiyā
be-laus jo chale the vahī tujh ko pā ga.e
mujh se kisī ke sāmne royā nahīñ gayā
kitne hī ġham the jo mujhe andar se khā ga.e
ik un ke dar pe jaane kyuuñ dastak na dī kabhī
hālāñki un ke kūche meñ ham bār-hā ga.e
aise maqam tak bhi tere na-rasa gae
tare falak ke TuT ke qadmon mein aa gae
ummid-e-wasl-e-yar liye kitne kam nasib
apni dukan tere jahan se baDha gae
dekha jinhon ne aankh ganwa kar safar kiya
be-laus jo chale the wahi tujh ko pa gae
mujh se kisi ke samne roya nahin gaya
kitne hi gham the jo mujhe andar se kha gae
ek un ke dar pe jaane kyun dastak na di kabhi
haalanki un ke kuche mein hum bar-ha gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.