aise meri wafa ka sila dijiye mujhe
aise mirī vafā kā sila dījiye mujhe
harf-e-ġhalat kī tarh miTā dījiye mujhe
ab shab bhī Dhal chukī hai ujālā bhī ho chukā
maiñ huuñ charāġh-e-sub.h bujhā dījiye mujhe
har baar kyoñ vafā ke sile meñ vafā mile
maiñ chāhtā huuñ ab ke daġhā dījiye mujhe
sach bolnā hai jurm chalo maiñ ne kar diyā
aur ye bhī kah rahā huuñ sajā dījiye mujhe
zarre se āftāb bhī bantā hai dekhiye
gar maiñ ġhubār huuñ to uḌā dījiye mujhe
aise meri wafa ka sila dijiye mujhe
harf-e-ghalat ki tarh miTa dijiye mujhe
ab shab bhi Dhal chuki hai ujala bhi ho chuka
main hun charagh-e-subh bujha dijiye mujhe
har bar kyon wafa ke sile mein wafa mile
main chahta hun ab ke dagha dijiye mujhe
sach bolna hai jurm chalo main ne kar diya
aur ye bhi kah raha hun saja dijiye mujhe
zarre se aaftab bhi banta hai dekhiye
gar main ghubar hun to uDa dijiye mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.