aise na lijiyega mera nam sahiba
aise na lījiyegā mirā naam sāhibā
lagne lageñge aap pe ilzām sāhibā
lahrā.iye na zulf ki aa jaa.e bārisheñ
miTTī ke haiñ hamāre dar-o-bām sāhibā
vo ḳhush-nasīb haiñ ki jinheñ aap mil ga.e
bad-baḳhtī juḌ ga.ī hai mire naam sāhibā
baaqī haiñ chand saañs bahut jald aap ko
shāyad ki mil hī jā.egā paiġhām sāhibā
shāyad sahar ke aane meñ ab muddateñ lageñ
baiThī hai par sameT ke ik shaam sāhibā
aise na lijiyega mera nam sahiba
lagne lagenge aap pe ilzam sahiba
lahraiye na zulf ki aa jae barishen
miTTi ke hain hamare dar-o-baam sahiba
wo KHush-nasib hain ki jinhen aap mil gae
bad-baKHti juD gai hai mere nam sahiba
baqi hain chand sans bahut jald aap ko
shayad ki mil hi jaega paigham sahiba
shayad sahar ke aane mein ab muddaten lagen
baiThi hai par sameT ke ek sham sahiba
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.