aise nikle na dar se kash koi
aise nikle na dar se kaash koī
ho ke merī tarah hatāsh koī
jazb jazbāt dil meñ aise haiñ
dasht meñ dafn jaise laash koī
kuchh safar is tarah ke hote haiñ
jin kī manzil nahīñ talāsh koī
jism meñ phañs gayā parinda ik
kaaT de ruuh kā ye paash koī
aise nikle na dar se kash koi
ho ke meri tarah hatash koi
jazb jazbaat dil mein aise hain
dasht mein dafn jaise lash koi
kuchh safar is tarah ke hote hain
jin ki manzil nahin talash koi
jism mein phans gaya parinda ek
kaT de ruh ka ye pash koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.