aise rahte hain apne ghar mein asir
aise rahte haiñ apne ghar meñ asiir
raushnī jaise bām-o-dar meñ asiir
yuuñ haiñ fikr-o-ḳhayāl ham-āhañg
lafz ma.anī ke hai asar meñ asiir
naam kyā pūchhte ki hairāñ the
ham hue kaise us sahar meñ asiir
bas shabāhat talāsh karnā hai
vo hai ḳhud apne hī hunar meñ asiir
ham hue matn meñ nazar-andāz
sāhab-e-dahr hai dahr meñ asiir
rañg kuchh aur hī hai aalam kā
jab nazar ho kisī nazar meñ asiir
sar-kashī meñ hai barg āvāra
ab talak thā kisī shajar meñ asiir
kyā ta.ayyun ho manziloñ kā abhī
har qadam us kī rahguzar meñ asiir
aise rahte hain apne ghar mein asir
raushni jaise baam-o-dar mein asir
yun hain fikr-o-KHayal ham-ahang
lafz mani ke hai asar mein asir
nam kya puchhte ki hairan the
hum hue kaise us sahar mein asir
bas shabahat talash karna hai
wo hai KHud apne hi hunar mein asir
hum hue matn mein nazar-andaz
sahab-e-dahr hai dahr mein asir
rang kuchh aur hi hai aalam ka
jab nazar ho kisi nazar mein asir
sar-kashi mein hai barg aawara
ab talak tha kisi shajar mein asir
kya tayyun ho manzilon ka abhi
har qadam us ki rahguzar mein asir
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.