aise roya ki dil-e-zar ne sone na diya
aise roya ki dil-e-zar ne sone na diya
Zakir Husain Husaini Zakir
MORE BYZakir Husain Husaini Zakir
aise royā ki dil-e-zār ne sone na diyā
raat bhar dard kī takrār ne sone na diyā
tum jo aa.e to kahāñ niiñd kahāñ kā ārām
kaif-o-mastī bhare isrār ne sone na diyā
hijr kī aag ne din-rāt jalāyā ham ko
roz-o-shab dīda-e-bedār ne sone na diyā
zaḳhm ro.e kabhī āñkheñ to kabhī dil taḌpā
ek lamha inhīñ do-chār ne sone na diyā
us kī yādoñ kā har ik naqsh bulātā thā mujhe
mujh ko shab bhar dar-o-dīvār ne sone na diyā
vasl kī raat ajab rang meñ guzrī 'zākir'
yaar ko maiñ ne mujhe yaar ne sone na diyā
aise roya ki dil-e-zar ne sone na diya
raat bhar dard ki takrar ne sone na diya
tum jo aae to kahan nind kahan ka aaram
kaif-o-masti bhare israr ne sone na diya
hijr ki aag ne din-raat jalaya hum ko
roz-o-shab dida-e-bedar ne sone na diya
zaKHm roe kabhi aankhen to kabhi dil taDpa
ek lamha inhin do-chaar ne sone na diya
us ki yaadon ka har ek naqsh bulata tha mujhe
mujh ko shab bhar dar-o-diwar ne sone na diya
wasl ki raat ajab rang mein guzri 'zakir'
yar ko main ne mujhe yar ne sone na diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.