Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aise ruThe ki mulaqat nahin hoti hai

Shabbar Jilani Qamri

aise ruThe ki mulaqat nahin hoti hai

Shabbar Jilani Qamri

MORE BYShabbar Jilani Qamri

    aise rūThe ki mulāqāt nahīñ hotī hai

    mil to jaate haiñ magar baat nahīñ hotī hai

    ḳhair ye to huā un se nigāheñ to milīñ

    na sahī baat agar baat nahīñ hotī hai

    kuchh na pūchho mire ashkoñ ravānī shu.ūr

    is qarīne se to barsāt nahīñ hotī hai

    maiñ isī fikr meñ rahtā huuñ kabhī haañ nikle

    un ke hoñToñ pe to din-rāt nahīñ hotī hai

    ḳhauf-e-aġhyār ho sharm ho mujh se gurez

    koī to baat hai jo baat nahīñ hotī hai

    ḳhud bhī duniyā jo aTak paḌtī hai dīvānoñ se

    asl meñ vāqif-e-hālāt nahīñ hotī hai

    aañkh uThtī hai nazar miltī hai hañs dete haiñ

    saarī bāteñ haiñ magar baat nahīñ hotī hai

    bāzī-e-ishq chāleñ ajab haiñ 'shabbar'

    haar jaate haiñ magar maat nahīñ hotī hai

    aise ruThe ki mulaqat nahin hoti hai

    mil to jate hain magar baat nahin hoti hai

    KHair ji ye to hua un se nigahen to milin

    na sahi baat agar baat nahin hoti hai

    kuchh na puchho mere ashkon ki rawani ka shuur

    is qarine se to barsat nahin hoti hai

    main isi fikr mein rahta hun kabhi han nikle

    un ke honTon pe to din-raat nahin hoti hai

    KHauf-e-aghyar ho ya sharm ho ya mujh se gurez

    koi to baat hai jo baat nahin hoti hai

    KHud bhi duniya jo aTak paDti hai diwanon se

    asl mein waqif-e-haalat nahin hoti hai

    aankh uThti hai nazar milti hai hans dete hain

    sari baaten hain magar baat nahin hoti hai

    bazi-e-ishq ki chaalen hi ajab hain 'shabbar'

    haar jate hain magar mat nahin hoti hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now