aise waison ko yahan hum nahin ginte sahab
aise vaisoñ ko yahāñ ham nahīñ ginte sāhab
aap achchhe haiñ bahut achchhe haiñ hoñge sāhab
kis ke milne kī ḳhushī kis ke bichhaḌne kā ġham
TūTte rahte haiñ miTTī ke khilaune sāhab
tah-ba-tah gard gunāhoñ kī jamī hai us par
jā-namāz apnī zarā aur jhaTakiye sāhab
bātoñ bātoñ hī meñ kyā jaan nikāloge mirī
ho chukī baat zarā duur sarakiye sāhab
tum ho 'ālam' vahī āvāra tabī.at vaale
ye batāo mujhe tum ho ga.e kab se sāhab
aise waison ko yahan hum nahin ginte sahab
aap achchhe hain bahut achchhe hain honge sahab
kis ke milne ki KHushi kis ke bichhaDne ka gham
TuTte rahte hain miTTi ke khilaune sahab
tah-ba-tah gard gunahon ki jami hai us par
ja-namaz apni zara aur jhaTakiye sahab
baaton baaton hi mein kya jaan nikaloge meri
ho chuki baat zara dur sarakiye sahab
tum ho 'alam' wahi aawara tabiat wale
ye batao mujhe tum ho gae kab se sahab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.