aise wo mere shahr ki taqdir se khele
aise vo mire shahr kī taqdīr se khele
jaise koī bachcha kisī tasvīr se khele
rahnā hai use aur bhī kuchh roz qafas meñ
qaidī se kaho sabr kī zanjīr se khele
utrā hai mire zehn se paikar tirā lekin
dil ab bhī tire lams kī tāsīr se khele
mumkin thā mohabbat meñ hameñ maat na hotī
ye khel magar ham baḌī tāḳhīr se khele
ye ziist kī baazī na tire haath rahegī
tū laakh ise ġhaur se tadbīr se khele
aise wo mere shahr ki taqdir se khele
jaise koi bachcha kisi taswir se khele
rahna hai use aur bhi kuchh roz qafas mein
qaidi se kaho sabr ki zanjir se khele
utra hai mere zehn se paikar tera lekin
dil ab bhi tere lams ki tasir se khele
mumkin tha mohabbat mein hamein mat na hoti
ye khel magar hum baDi taKHir se khele
ye zist ki bazi na tere hath rahegi
tu lakh ise ghaur se tadbir se khele
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.