aise zalim se shanasai hui
aise zālim se shanāsā.ī huī
umr bhar kī qaid-e-tanhā.ī huī
sil ga.e lab aur zabāñ jab kaT ga.ī
tab tirī mahfil meñ shunvā.ī huī
ḳhvāb hasrat raushnī ḳhushbū nasha
sab tirī shakleñ haiñ man bhaa.ī huī
dekh kar tujh ko sharābī ho gayā
toḌ dī maiñ ne qasam khaa.ī huī
ham tirī mahfil se pyāse uTh ga.e
is meñ terī bhī to rusvā.ī huī
aise zalim se shanasai hui
umr bhar ki qaid-e-tanhai hui
sil gae lab aur zaban jab kaT gai
tab teri mahfil mein shunwai hui
KHwab hasrat raushni KHushbu nasha
sab teri shaklen hain man bhai hui
dekh kar tujh ko sharabi ho gaya
toD di main ne qasam khai hui
hum teri mahfil se pyase uTh gae
is mein teri bhi to ruswai hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.