aish-e-duniya ka jab shumar na tha
aish-e-duniyā kā jab shumār na thā
tab hameñ dil pe iḳhtiyār na thā
ham bhī kis qāfile meñ shāmil the
jis ke pīchhe koī ġhubār na thā
umr bhar ishq kā fareb rahā
kab hameñ apnā intizār na thā
raat din ek hī rahā aalam
kaun sā lamha sogvār na thā
vo bhī ma.asūm thā agar 'shohrat'
apnā dāman bhī dāġhdār na thā
aish-e-duniya ka jab shumar na tha
tab hamein dil pe iKHtiyar na tha
hum bhi kis qafile mein shamil the
jis ke pichhe koi ghubar na tha
umr bhar ishq ka fareb raha
kab hamein apna intizar na tha
raat din ek hi raha aalam
kaun sa lamha sogwar na tha
wo bhi masum tha agar 'shohrat'
apna daman bhi daghdar na tha
- Book : shab-e-aaina (Pg. 89)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.