Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aish-e-hazir bhi kahan gham se rihai dega

Shareef Munawwar

aish-e-hazir bhi kahan gham se rihai dega

Shareef Munawwar

MORE BYShareef Munawwar

    Interesting Fact

    1971

    aish-e-hāzir bhī kahāñ ġham se rihā.ī degā

    lazzat-e-qurb meñ ehsās-e-judā.ī degā

    ek aks har ik aks pe hogā haavī

    laakh chehroñ meñ vahī shaḳhs dikhā.ī degā

    uf ye iḳhlās tirā uf ye tirā tarz-e-tapāk

    mujhe kaun dukh ai mire bhaa.ī degā

    haa.e vo ġham ki milegā mujhe shahnā.ī se

    haa.e vo dukh jo tirā dast-e-hinā.ī degā

    mire ehsās se zāhir hai sadāqat merī

    maiñ jo chāhūñgā vahī rang dikhā.ī degā

    sar-phirā laakh sahī phir bhī 'munavvar' kab tak

    barf-e-ehsās ko shola-qabā.ī degā

    aish-e-hazir bhi kahan gham se rihai dega

    lazzat-e-qurb mein ehsas-e-judai dega

    ek hi aks har ek aks pe hoga hawi

    lakh chehron mein wahi shaKHs dikhai dega

    uf ye iKHlas tera uf ye tera tarz-e-tapak

    tu mujhe kaun sa dukh ai mere bhai dega

    hae wo gham ki milega mujhe shahnai se

    hae wo dukh jo tera dast-e-hinai dega

    mere ehsas se zahir hai sadaqat meri

    main jo chahunga wahi rang dikhai dega

    sar-phira lakh sahi phir bhi 'munawwar' kab tak

    barf-e-ehsas ko tu shola-qabai dega

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now