aish mazi ke gina haal ka tana de de
aish maazī ke ginā haal kā ta.ana de de
ghar palaTne ke liye koī bahāna de de
maiñ ne is shahr ko ik shaḳhs kā hamnām kiyā
chāhe ab jo bhī ise naam zamāna de de
sañg-zādoñ ko bhī ta.amīr meñ shāmil kar lo
is se pahle ki koī ā.ina-ḳhāna de de
us kā rūmāl bhī majbūrī thā hamdardī nahīñ
us ko ye Dar thā koī aur na shāna de de
dil ke ujḌe hue jañgal ko paḌā rahne do
ain mumkin hai parindoñ ko Thikāna de de
aish mazi ke gina haal ka tana de de
ghar palaTne ke liye koi bahana de de
main ne is shahr ko ek shaKHs ka hamnam kiya
chahe ab jo bhi ise nam zamana de de
sang-zadon ko bhi tamir mein shamil kar lo
is se pahle ki koi aaina-KHana de de
us ka rumal bhi majburi tha hamdardi nahin
us ko ye Dar tha koi aur na shana de de
dil ke ujDe hue jangal ko paDa rahne do
ain mumkin hai parindon ko Thikana de de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.