aish-o-ishrat bhare ayyam se Dar lagta hai
aish-o-ishrat bhare ayyām se Dar lagtā hai
zindagānī tire anjām se Dar lagtā hai
jī rahā huuñ magar is darja harāsāñ ho kar
sub.h hotī hai to phir shaam se Dar lagtā hai
be-ḳhudī le ke chalī hai mujhe manzil kī taraf
ab mujhe hosh ke paiġhām se Dar lagtā hai
uñgliyāñ uThne na lag jaa.eñ kahīñ ġhairoñ kī
rahne do aap ke in.aam se Dar lagtā hai
dard baḌh jaa.e na is tīr-e-nazar ko roko
aap ke saath to anjām se Dar lagtā hai
aish-o-ishrat bhare ayyam se Dar lagta hai
zindagani tere anjam se Dar lagta hai
ji raha hun magar is darja harasan ho kar
subh hoti hai to phir sham se Dar lagta hai
be-KHudi le ke chali hai mujhe manzil ki taraf
ab mujhe hosh ke paigham se Dar lagta hai
ungliyan uThne na lag jaen kahin ghairon ki
rahne do aap ke inam se Dar lagta hai
dard baDh jae na is tir-e-nazar ko roko
aap ke sath to anjam se Dar lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.