aish-o-tarab se kaam na aaram se gharaz
aish-o-tarab se kaam na ārām se ġharaz
dīvāne ko na gardish-e-ayyām se ġharaz
ik dil thā us ke paas vo pahle hī de diyā
ab kyā hai us ko āshiq-e-nākām se ġharaz
allāh re ye shauq-e-mulāqāt-e-mudda.ī
dekhā jo us ko kuud paḌe baam se ġharaz
ye apne baḳht-e-ḳhufta kī saarī haiñ ḳhūbiyāñ
jo aa ke so ga.e vo sar-e-shām se ġharaz
vaa.iz tū chheḌ rind-e-ḳharābāt se na kar
jab tujh ko kuchh nahīñ mai-e-gulfām se ġharaz
shatranj hai lagī huī chausar bichhī huī
mehnat se vāsta na kisī kaam se ġharaz
karnī hai apnī manzil-e-maqsūd tai jise
rakhtā nahīñ vo raah meñ ārām se ġharaz
sah sah ke zulm ho gayā īzā-pasand dil
rakhtā nahīñ maiñ rāhat-o-ārām se ġharaz
gumnām shā.iroñ meñ mirā naam hai 'atā'
in.aam se ġharaz na mujhe naam se ġharaz
aish-o-tarab se kaam na aaram se gharaz
diwane ko na gardish-e-ayyam se gharaz
ek dil tha us ke pas wo pahle hi de diya
ab kya hai us ko aashiq-e-nakaam se gharaz
allah re ye shauq-e-mulaqat-e-muddai
dekha jo us ko kud paDe baam se gharaz
ye apne baKHt-e-KHufta ki sari hain KHubiyan
jo aa ke so gae wo sar-e-sham se gharaz
waiz tu chheD rind-e-KHarabaat se na kar
jab tujh ko kuchh nahin mai-e-gulfam se gharaz
shatranj hai lagi hui chausar bichhi hui
mehnat se wasta na kisi kaam se gharaz
karni hai apni manzil-e-maqsud tai jise
rakhta nahin wo rah mein aaram se gharaz
sah sah ke zulm ho gaya iza-pasand dil
rakhta nahin main rahat-o-aram se gharaz
gumnam shairon mein mera nam hai 'ata'
inam se gharaz na mujhe nam se gharaz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.