aish se be-niyaz hain hum log
aish se be-niyāz haiñ ham log
be-ḳhud-e-soz-o-sāz haiñ ham log
jis tarah chāhe chheḌ de ham ko
tere hāthoñ meñ saaz haiñ ham log
be-sabab iltifāt kyā ma.anī
kuchh to ai chashm-e-nāz haiñ ham log
mahfil-e-soz o saaz hai duniyā
hāsil-e-soz o saaz haiñ ham log
koī is raaz se nahīñ vāqif
kyuuñ sarāpā niyāz haiñ ham log
ham ko rusvā na kar zamāne meñ
bas-ki terā hī raaz haiñ ham log
sab isī ishq ke karishme haiñ
varna kyā ai 'majāz' haiñ ham log
aish se be-niyaz hain hum log
be-KHud-e-soz-o-saz hain hum log
jis tarah chahe chheD de hum ko
tere hathon mein saz hain hum log
be-sabab iltifat kya mani
kuchh to ai chashm-e-naz hain hum log
mahfil-e-soz o saz hai duniya
hasil-e-soz o saz hain hum log
koi is raaz se nahin waqif
kyun sarapa niyaz hain hum log
hum ko ruswa na kar zamane mein
bas-ki tera hi raaz hain hum log
sab isi ishq ke karishme hain
warna kya ai 'majaz' hain hum log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.