aisi aankhen tu ne din ai husn-e-jaanana mujhe
aisi aankhen tu ne din ai husn-e-jaanana mujhe
Muztar Muzaffarpuri
MORE BYMuztar Muzaffarpuri
aisī āñkheñ tū ne diiñ ai husn-e-jānāna mujhe
zarra zarra ab nazar aatā hai but-ḳhāna mujhe
qulqul-e-mīnā kī sūrat aa rahī haiñ hichkiyāñ
yaad karte hoñge shāyad ahl-e-mai-ḳhāna mujhe
ro diyā maiñ aa ga.ī apne shikasta dil kī yaad
mil gayā TuuTā huā ik din jo paimāna mujhe
muḳhtasar itnī sī hai rūdād bazm-e-husn kī
sham.a un kā naam hai kahte haiñ parvāna mujhe
al-madad ai jazb-e-kāmil al-madad ai ḳhizr-e-shauq
kheñchtā hai rāh-e-ka.aba meñ bhī but-ḳhāna mujhe
soch kar anjām-e-ulfat ho gayā dil chuur chuur
lailā-o-majnūñ kā yaad aayā jo afsāna mujhe
tere qātil kai liye ghar kī huī jab justujū
dard ne uTh kar dikhāyā apnā kāshāna mujhe
us kī dhun se mujh ko matlab us kī dhun se mujh ko kaam
koī matvālā kahe 'muztar' ki dīvāne mujhe
aisi aankhen tu ne din ai husn-e-jaanana mujhe
zarra zarra ab nazar aata hai but-KHana mujhe
qulqul-e-mina ki surat aa rahi hain hichkiyan
yaad karte honge shayad ahl-e-mai-KHana mujhe
ro diya main aa gai apne shikasta dil ki yaad
mil gaya TuTa hua ek din jo paimana mujhe
muKHtasar itni si hai rudad bazm-e-husn ki
shama un ka nam hai kahte hain parwana mujhe
al-madad ai jazb-e-kaamil al-madad ai KHizr-e-shauq
khenchta hai rah-e-kaba mein bhi but-KHana mujhe
soch kar anjam-e-ulfat ho gaya dil chur chur
laila-o-majnun ka yaad aaya jo afsana mujhe
tere qatil kai liye ghar ki hui jab justuju
dard ne uTh kar dikhaya apna kashana mujhe
us ki dhun se mujh ko matlab us ki dhun se mujh ko kaam
koi matwala kahe 'muztar' ki diwane mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.