aisi aziyyaton mein kisi ki basar na ho
aisī aziyyatoñ meñ kisī kī basar na ho
lagtā rahe ke saath koī hai magar na ho
us ne baḌe jatan se sajāyā thā ye makān
maiñ chāhtā huuñ kuchh bhī idhar se udhar na ho
jis tarh jhaḌ rahā thā palastar yahāñ vahāñ
shāyad safar se lauT ke jaa.eñ to ghar na ho
daftar kī din-guzāriyāñ sote meñ baḌbaḌāo
aise meñ ek roz kī chhuTTī bhī gar na ho
ai yaar merī baat samajh maiñ bhugat chukā
honā hai munhasir to kisī ek par na ho
ik raat bebasī ne sisak kar kahā ḳhudā
ik shām-bhar kā saath bhale 'umr bhar na ho
is ke sabab suḳhan hai suḳhan ke sabab hayāt
mar hī na jaa.eñ yaar udāsī agar na ho
aisi aziyyaton mein kisi ki basar na ho
lagta rahe ke sath koi hai magar na ho
us ne baDe jatan se sajaya tha ye makan
main chahta hun kuchh bhi idhar se udhar na ho
jis tarh jhaD raha tha palastar yahan wahan
shayad safar se lauT ke jaen to ghar na ho
daftar ki din-guzariyan sote mein baDbaDao
aise mein ek roz ki chhuTTi bhi gar na ho
ai yar meri baat samajh main bhugat chuka
hona hai munhasir to kisi ek par na ho
ek raat bebasi ne sisak kar kaha KHuda
ek sham-bhar ka sath bhale 'umr bhar na ho
is ke sabab suKHan hai suKHan ke sabab hayat
mar hi na jaen yar udasi agar na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.