aisi bhi kya jaldi pyare jaane milen phir ya na milen hum
aisi bhi kya jaldi pyare jaane milen phir ya na milen hum
Hafeez Hoshiarpuri
MORE BYHafeez Hoshiarpuri
aisī bhī kyā jaldī pyāre jaane mileñ phir yā na mileñ ham
kaun kahegā phir ye fasāna baiTh bhī jaao sun lo koī dam
vasl kī shīrīnī meñ pinhāñ hijr kī talḳhī bhī hai kam kam
tum se milne kī bhī ḳhushī hai tum se judā hone kā bhī ġham
husn-o-ishq judā hote haiñ jaane kyā tūfān uThegā
husn kī āñkheñ bhī haiñ pur-nam 'ishq kī āñkheñ bhī haiñ pur-nam
merī vafā to nādānī thī tum ne magar ye kyā Thānī thī
kaash na karte mujh se mohabbat kaash na hotā dil kā ye 'ālam
parvāne kī ḳhaak pareshāñ sham' kī lau bhī larzāñ larzāñ
mahfil kī mahfil hai vīrāñ kaun kare ab kis kā mātam
kuchh bhī ho par in āñkhoñ ne aksar ye 'ālam bhī dekhā
'ishq kī duniyā nāz-e-sarāpā husn kī duniyā ijz-e-mujassam
shahd-shikan hoñToñ kī larzish 'ishrat baaqī kā gahvāra
dā.era-e-imkān-e-tamannā narm lachaktī bāñhoñ ke ḳham
apne apne dil ke hāthoñ donoñ hī barbād hue haiñ
maiñ huuñ aur vafā kā ronā vo haiñ aur jafā kā mātam
nākāmī sī nākāmī hai mahrūmī sī mahrūmī hai
dil kā manānā sa.ī-e-musalsal un ko bhulānā koshish-e-paiham
ahd-e-vafā hai aur bhī mohkam terī judā.ī ke maiñ qurbāñ
terī judā.ī ke maiñ qurbāñ ahd-e-vafā hai aur bhī mohkam
aisi bhi kya jaldi pyare jaane milen phir ya na milen hum
kaun kahega phir ye fasana baiTh bhi jao sun lo koi dam
wasl ki shirini mein pinhan hijr ki talKHi bhi hai kam kam
tum se milne ki bhi KHushi hai tum se juda hone ka bhi gham
husn-o-ishq juda hote hain jaane kya tufan uThega
husn ki aankhen bhi hain pur-nam 'ishq ki aankhen bhi hain pur-nam
meri wafa to nadani thi tum ne magar ye kya Thani thi
kash na karte mujh se mohabbat kash na hota dil ka ye 'alam
parwane ki KHak pareshan sham' ki lau bhi larzan larzan
mahfil ki mahfil hai viran kaun kare ab kis ka matam
kuchh bhi ho par in aankhon ne aksar ye 'alam bhi dekha
'ishq ki duniya naz-e-sarapa husn ki duniya ijz-e-mujassam
shahd-shikan honTon ki larzish 'ishrat baqi ka gahwara
daera-e-imkan-e-tamanna narm lachakti banhon ke KHam
apne apne dil ke hathon donon hi barbaad hue hain
main hun aur wafa ka rona wo hain aur jafa ka matam
nakaami si nakaami hai mahrumi si mahrumi hai
dil ka manana sai-e-musalsal un ko bhulana koshish-e-paiham
ahd-e-wafa hai aur bhi mohkam teri judai ke main qurban
teri judai ke main qurban ahd-e-wafa hai aur bhi mohkam
- Book : Nuquush Lahore (Pg. 202)
- Author : Mohd Tufail
- Publication : Idara Farog-e-urdu, Lahore (Feb.1956 )
- Edition : Feb.1956
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.