aisi bhi kya uDi hai KHabar dekh kar mujhe
aisī bhī kyā uḌī hai ḳhabar dekh kar mujhe
sab pherne lage haiñ nazar dekh kar mujhe
kyoñ chhuT nahīñ rahā hai siyah-rāt kā dhuāñ
kyoñ muñh chhupā rahī hai sahar dekh kar mujhe
donoñ hī ro paḌe haiñ sar-e-mausam-e-ḳhizāñ
maiñ dekh kar shajar ko shajar dekh kar mujhe
mānūs ho chukā hai mirī āhaToñ se ghar
khul jā rahe haiñ aap hī dar dekh kar mujhe
yuuñ to hazār rañj the shikve gile bhī the
kuchh bhī na kah sakā vo magar dekh kar mujhe
aisi bhi kya uDi hai KHabar dekh kar mujhe
sab pherne lage hain nazar dekh kar mujhe
kyon chhuT nahin raha hai siyah-raat ka dhuan
kyon munh chhupa rahi hai sahar dekh kar mujhe
donon hi ro paDe hain sar-e-mausam-e-KHizan
main dekh kar shajar ko shajar dekh kar mujhe
manus ho chuka hai meri aahaTon se ghar
khul ja rahe hain aap hi dar dekh kar mujhe
yun to hazar ranj the shikwe gile bhi the
kuchh bhi na kah saka wo magar dekh kar mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.