aisi duniya ka etibar nahin
aisī duniyā kā e'tibār nahīñ
koī bhī jis meñ ġham-gusār nahīñ
zindagī ko guzārne vaalo
kyā tumheñ apnā intizār nahīñ
chāhatoñ kā vahāñ vajūd kahāñ
ḳhvāhishoñ kā jahāñ shumār nahīñ
phir bhī hogā nahīñ use ehsās
pattharoñ se lahū guzār nahīñ
tum suno to sināoñ dil kī baat
zindagī is zamīñ pe baar nahīñ
tum ne va.ada to kar liyā lekin
saañs kā koī e'tibār nahīñ
qurbateñ hoñ na hoñ magar 'manzar'
ham ko dil se kabhī utaar nahīñ
aisi duniya ka e'tibar nahin
koi bhi jis mein gham-gusar nahin
zindagi ko guzarne walo
kya tumhein apna intizar nahin
chahaton ka wahan wajud kahan
KHwahishon ka jahan shumar nahin
phir bhi hoga nahin use ehsas
pattharon se lahu guzar nahin
tum suno to sinaon dil ki baat
zindagi is zamin pe bar nahin
tum ne wada to kar liya lekin
sans ka koi e'tibar nahin
qurbaten hon na hon magar 'manzar'
hum ko dil se kabhi utar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.