aisi hoti hain baz taqdiren
aisī hotī haiñ ba.az taqdīreñ
bahte paanī pe jaise tahrīreñ
ret ke ik gharauñde jaisī haiñ
aadmī kī jahāñ meñ tadbīreñ
ham ne to sirf ḳhvāb dekhe the
bas meñ apne kahāñ thiiñ tā'bīreñ
qasr-e-zar meñ sajī huiiñ dekhīñ
muflisoñ be-gharoñ kī tasvīreñ
merī qismat meñ zulmateñ saarī
us kī muTThī meñ saarī tanvīreñ
jī meñ aatā hai toḌ hī Dālūñ
saarī hosh-o-ḳhirad kī zanjīreñ
yaad ke taar taar canvas par
ab bhī baaqī haiñ chand tasvīreñ
baat 'sajjād' saaf kahtā hai
aap jo chāheñ kar leñ tafsīreñ
aisi hoti hain baz taqdiren
bahte pani pe jaise tahriren
ret ke ek gharaunde jaisi hain
aadmi ki jahan mein tadbiren
hum ne to sirf KHwab dekhe the
bas mein apne kahan thin ta'biren
qasr-e-zar mein saji huin dekhin
muflison be-gharon ki taswiren
meri qismat mein zulmaten sari
us ki muTThi mein sari tanwiren
ji mein aata hai toD hi Dalun
sari hosh-o-KHirad ki zanjiren
yaad ke tar tar canwas par
ab bhi baqi hain chand taswiren
baat 'sajjad' saf kahta hai
aap jo chahen kar len tafsiren
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.