aisi KHushbu tu mujhe aaj mayassar kar de
aisī ḳhushbū tū mujhe aaj mayassar kar de
jo mirā dil mirā ehsās mo.attar kar de
ḳhushk phir hone lage zaḳhm dil-e-bismil ke
apnī chāhat kī namī de ke unheñ tar kar de
vus.at-e-dil ko zarā aur baḌhā de yārab
ye jo gāgar hai ise pyaar kā sāgar kar de
āhaTeñ niiñd kī jo sunñe ko tarse āñkheñ
vo hī bachpan kī tarah farsh ko bistar kar de
muntazir maiñ huuñ 'suman' koī kahīñ se aa kar
dil abhī tak jo makāñ hai vo use ghar kar de
aisi KHushbu tu mujhe aaj mayassar kar de
jo mera dil mera ehsas moattar kar de
KHushk phir hone lage zaKHm dil-e-bismil ke
apni chahat ki nami de ke unhen tar kar de
wusat-e-dil ko zara aur baDha de yarab
ye jo gagar hai ise pyar ka sagar kar de
aahaTen nind ki jo sunne ko tarse aankhen
wo hi bachpan ki tarah farsh ko bistar kar de
muntazir main hun 'suman' koi kahin se aa kar
dil abhi tak jo makan hai wo use ghar kar de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.