aisi koi KHata nahin karte
aisī koī ḳhatā nahīñ karte
ham kisī se daġhā nahīñ karte
jaañ kī parvāh gar hameñ hotī
tum se ahd-e-vafā nahīñ karte
jaañ bhī de deñ magar kaho to zarā
ham vafā-kash jafā nahīñ karte
baat karte vafāoñ kī haiñ magar
log hī haq adā nahīñ karte
karke ehsāñ chhupā liyā kiije
jo kiyā hai kahā nahīñ karte
hai halīmī bajā magar 'tābish'
is qadar bhī jhukā nahīñ karte
aisi koi KHata nahin karte
hum kisi se dagha nahin karte
jaan ki parwah gar hamein hoti
tum se ahd-e-wafa nahin karte
jaan bhi de den magar kaho to zara
hum wafa-kash jafa nahin karte
baat karte wafaon ki hain magar
log hi haq ada nahin karte
karke ehsan chhupa liya kije
jo kiya hai kaha nahin karte
hai halimi baja magar 'tabish'
is qadar bhi jhuka nahin karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.