aisi kya thin itab ki baaten
aisī kyā thiiñ itaab kī bāteñ
maiñ to kahtā thā ḳhvāb kī bāteñ
kuchh ġhazab ho rahī haiñ aariz se
zulf-e-pur-pech-o-tāb kī bāteñ
be-hijābī meñ kyā ġhazab hogā
jab ye kuchh haiñ hijāb kī bāteñ
sar mirā aur nishān-e-pā-e-adū
dekhnā iztirāb kī bāteñ
ek hazrat haiñ aap bhī 'mā.il'
sun chukā huuñ janāb kī bāteñ
aisi kya thin itab ki baaten
main to kahta tha KHwab ki baaten
kuchh ghazab ho rahi hain aariz se
zulf-e-pur-pech-o-tab ki baaten
be-hijabi mein kya ghazab hoga
jab ye kuchh hain hijab ki baaten
sar mera aur nishan-e-pa-e-adu
dekhna iztirab ki baaten
ek hazrat hain aap bhi 'mail'
sun chuka hun janab ki baaten
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 235)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.